Friday, March 2, 2012

Kuch Khwaab Kuch Kisse...jo sach ho na sake :)

Jo kisse sach ho na sake wo hamare the,

dariyaan mein behte hue kuch kinaare the,

manzilon se milne ki zid bhi hamari thi,

aur tufaanon se ulajhne ke shauk bhi hamare hi the...


Ye jo toot gaya sheesha usme ek tasveer bhi thi,

par tootna us sheeshe ki takdeer bhi thi,

bikhre hue tukro mein chehra abhi bhi ek hi hai,

maathe pe lakeere hazaaron hai par labon par hasi ek hi hai...


Nadiya mein utara hu to samunder tak jaunnga,

aag lag hi gayi hai to poore shahar ko jalaauga,

nadiyaan mein behte hue kuch puraane kasbe bhi hoge,

jalte hue shahar mein kuch ghar mere apne bhi hoge...


Kaali raaton mein bhi saath mere meri parchaayi hoti hai,

roz sunvaayi hoti hai roz kaarwaayi hoti hai,

meri parchaayi mujhse hi sawaal aur jawaab karti hai,

saja bhi mujhko milti hai aur meri hi rihaayi hoti hai...


Tooten hue paymaano mein mey bachi abhi bhi thi,

behek gaye kadam par manzilon pe nazar abhi bhi thi,

jo pee na sake jo paa na sake takdeer mein nahi tha shayad,

bhar gaye zakhm par dil mein chot abhi bhi thi...

No comments: